Tuesday, July 19, 2016

Ishq-e Rasool wa Tazeem-e Nabi ﷺ - Post 1

Ishq-e Rasool wa Tazeem-e Nabi  - Post 1
 
Hadees Shareef
Hazrat Anas {radiyAllaahu ta’aalaa anhu} se marvi hai ki ek dehaati Aadmi Rasoolullaah {sallAllaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ki khidamte Aqdas mein Haazir huwa aur pucha Yaa Rasoolullaah {sallAllaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Qayamat Kab Aayegi ?
 
Farmaya tere liye kharabi ho tune Qayamat ke liye kya tayyari ki hai ? Arz kiya Huzoor {sallAllaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Maine to tayyari nahi ki lekin main Allaah {jalla jalaaluhu} Aur Uske Rasool{sallAllaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}  se muhabbat karta hun, farmaya toa tum Uske sath rahoge jisse muhabbat karte ho Fir Hum logo ne arz kiya Yaa Rasoolullaah {sallAllaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} kya ye sab ke liye hai Farmaya haan. Raawi kehte hai is baat se hum behad khush huwe.

» Bukhari Shareef - Jild 2, Kitabul Aadab, Safa 911
» Muslim Shareef - Jild 2, Safa 331

Is Hadees Shareef se Achhi tarah se maloom ho gaya ki Sahaba-e Kiraam {radiyAllaahu ta’aalaa anhum ajmain} sab ke sab Aashiqaan-e Rasool {sallAllaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} the isi liye jab unhone ye suna ki jo jisse mohabbat karega wo uske Sath Rahega to wo nihayat khush hue. Ye bhi maloom hua ki wo log muttaqi parhezgaar aur deendar hone ke bawajood Apni nijaat ka zariya mahaz Aamale saaliha ko nahi balqi Mohabbate Khuda wa Rasool {sallAllaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ka khayal karte the.

Khulasa ye ki jo log deendaar bante hai aur unhe Allaahu Rahmaan wa Rasool {sallAllaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} se muhabbat wa Ishq nahi hai wo galat raaste par hai han wo log bhi dhoke  me hai jo khaali Naam ki muhabbat karte hai aur unhe Ahkaame Shariyah ki Qat'an fiqr nahi Haraam wa Halaal mein koi farq  nahi Namaaz, Roza ke paband nahi gunaho me lage rehte hai.

Hashr Mein Nidaa Hogi Ye Gulaam Kiska hai
Mujhko Dekh kar Keh De Yaa Shahe Zaman Mera
 
{Allaahu Rahmaan waRasuluhu aalam}
 
✨💥✒ Join Ahle Sunnat wal Jamaat Group:-
Yaãd-e Nabi
Sarkaar Aamir Piya ®
📱+91-9620778692